Lucky Draw QR – Har Scan Ek Inaam ka Mauka

Festive season ya naye product launch par kisaanon ka utsaah badhane ke liye lucky draw ek aazmaaya hua tarika hai. Ruhix ka Lucky Draw QR har scan ko ek draw entry bana deta hai.

Kaise chalta hai

  • Kisaan pack scan karke apna naam aur mobile number bharta hai
  • Har valid scan ek entry ban jaata hai
  • Monthly, season-wise ya festive draw — aapki marzi
  • Winner automatic aur transparent tarike se chuna jaata hai
  • Winner ko SMS / WhatsApp par soochna

Inaam ke idea

Bike, mobile phone, battery sprayer, tarpaulin, ya chhote gifts — aap budget ke hisaab se inaam rakh sakte hain.

Data jo aapko milta hai

Har entry ke saath area aur product ka data aata hai, jisse aap dekh sakte hain ki scheme kahan sabse zyada chal rahi hai.

Is season lucky draw chalana hai? Free demo book karein ya WhatsApp par baat karein.

Aur bhi dekhein: Original Verify QR · Cashback QR · Dealer Loyalty QR · Track & Trace QR · Regular QR